Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Urmila Madhav

  • Ghazal


KHud ke ehsas-e-mohabbat ne mujhe zinda rakha


ḳhud ke ehsās-e-mohabbat ne mujhe zinda rakhā
mere kuchh nek ḳhayālāt ne tābinda rakhā

mujh ko mushkil hī guzartī hai shanāsā.ī se
kyūñki ai dosto tum ne mujhe sharminda rakhā

sahl-dil huuñ to mujhe aap hī chalnā hai mahz
apne me.ayār ko so ḳhud se hī pā.inda rakhā

dil-lagī kartī rahī ḳhāk-e-mohabbat mujh se
zindagī maiñ ne tujhe ret kā bāshinda rakhā

kitne rañgoñ se mirī saañs ke kas-bal tole
phir bhī jī bhaTke nahīñ dhyān ye ā.inda rakhā

KHud ke ehsas-e-mohabbat ne mujhe zinda rakha
mere kuchh nek KHayalat ne tabinda rakha

mujh ko mushkil hi guzarti hai shanasai se
kyunki ai dosto tum ne mujhe sharminda rakha

sahl-dil hun to mujhe aap hi chalna hai mahz
apne meayar ko so KHud se hi painda rakha

dil-lagi karti rahi KHak-e-mohabbat mujh se
zindagi main ne tujhe ret ka bashinda rakha

kitne rangon se meri sans ke kas-bal tole
phir bhi ji bhaTke nahin dhyan ye aainda rakha


Leave a comment

+