Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taleef Haidar

  • Ghazal


aahista-rawi shahr ko kahil na bana de


āhista-ravī shahr ko kāhil na banā de
ḳhāmoshi-e-ġham ḳhvāb kā maa.il na banā de

itnā bhī mohabbat ko na soche mirī hastī
ye mojaza-e-fikr kahīñ dil na banā de

iisā nahīñ phir bhī mujhe andesha hai ḳhud se
hastī mirī kuchh shobada-e-gil na banā de

is tarah tujhe ishq kiyā hai ki ye duniyā
ham ko hī kahīñ ishq kā hāsil na banā de

maiñ us se samundar hī koī māñgtā lekin
Dar thā vo kahīñ phir koī sāhil na banā de

aahista-rawi shahr ko kahil na bana de
KHamoshi-e-gham KHwab ka mail na bana de

itna bhi mohabbat ko na soche meri hasti
ye mojaza-e-fikr kahin dil na bana de

isa nahin phir bhi mujhe andesha hai KHud se
hasti meri kuchh shobada-e-gil na bana de

is tarah tujhe ishq kiya hai ki ye duniya
hum ko hi kahin ishq ka hasil na bana de

main us se samundar hi koi mangta lekin
Dar tha wo kahin phir koi sahil na bana de

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Taleef Haidar RECITATIONS Taleef Haidar



00:00/00:00 aahista-rawi shahr ko kahil na bana de Taleef Haidar

Leave a comment

+