Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


taqat-e-sabr tere be-sar-o-saman mein nahin


tāqat-e-sabr tire be-sar-o-sāmāñ meñ nahīñ
istaqāmat use is ālam-e-imkāñ meñ nahīñ

DhūñDhtā kyā hai use jā ke idhar aur udhar
kyā tire dil meñ nahīñ dīda-e-hairāñ meñ nahīñ

kyā kahūñ aah maiñ tashbīh nahīñ de saktā
koī gul zaḳhm-e-jigar sā to gulistāñ meñ nahīñ

thaam sakte hī nahīñ ḳhār-e-bayābāñ mujh ko
taar baaqī koī ab to mire dāmāñ meñ nahīñ

le gayā jazb-e-dil-e-zār sanam tak un ko
ek lāsha bhī yahāñ gor-e-ġharībāñ meñ nahīñ

dekh to chiir ke pahlū meñ dikhā detā huuñ
juz ġham-e-yār koī is dil-e-vīrāñ meñ nahīñ

nau-giraftār-e-mohabbat huuñ yahī baa.is hai
naġhma-zan mujh sā koī murġh gulistāñ meñ nahīñ

halqa-e-chashm meñ zanjīr ke in a.azā meñ
aisī kāhīdgī aa.ī ki jo mizhgāñ meñ nahīñ

dekh kar us lab-e-rañgīñ ko 'jamīla' ne kahā
jo damak is meñ hai vo la.al-e-badaḳhshāñ meñ nahīñ

taqat-e-sabr tere be-sar-o-saman mein nahin
istaqamat use is aalam-e-imkan mein nahin

DhunDhta kya hai use ja ke idhar aur udhar
kya tere dil mein nahin dida-e-hairan mein nahin

kya kahun aah main tashbih nahin de sakta
koi gul zaKHm-e-jigar sa to gulistan mein nahin

tham sakte hi nahin KHar-e-bayaban mujh ko
tar baqi koi ab to mere daman mein nahin

le gaya jazb-e-dil-e-zar sanam tak un ko
ek lasha bhi yahan gor-e-ghariban mein nahin

dekh to chir ke pahlu mein dikha deta hun
juz gham-e-yar koi is dil-e-viran mein nahin

nau-giraftar-e-mohabbat hun yahi bais hai
naghma-zan mujh sa koi murgh gulistan mein nahin

halqa-e-chashm mein zanjir ke in aaza mein
aisi kahidgi aai ki jo mizhgan mein nahin

dekh kar us lab-e-rangin ko 'jamila' ne kaha
jo damak is mein hai wo lal-e-badaKHshan mein nahin


Leave a comment

+