dard ḳhāmosh rahā TūTtī āvāz rahī
merī har shaam tirī yaad kī hamrāz rahī
shahar meñ jab bhī chale ThanDī huā ke jhoñke
tapte sahrā kī tabī.at baḌī nā-sāz rahī
aa.ine TuuT ga.e aks kī sachchā.ī par
aur sachchā.ī hamesha kī tarah raaz rahī
ik na.e moḌ pe us ne bhī mujhe chhoḌ diyā
jis kī āvāz meñ shāmil mirī āvāz rahī
suntā rahtā huuñ buzurgoñ se maiñ akasr 'tāhir'
vo samā.at hī rahī aur na vo āvāz rahī
dard KHamosh raha TuTti aawaz rahi
meri har sham teri yaad ki hamraaz rahi
shahar mein jab bhi chale ThanDi hua ke jhonke
tapte sahra ki tabiat baDi na-saz rahi
aaine TuT gae aks ki sachchai par
aur sachchai hamesha ki tarah raaz rahi
ek nae moD pe us ne bhi mujhe chhoD diya
jis ki aawaz mein shamil meri aawaz rahi
sunta rahta hun buzurgon se main akasr 'tahir'
wo samaat hi rahi aur na wo aawaz rahi
Source: Book : Kashkol (Pg. 47) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004
Leave a comment