Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaid Haris

  • Ghazal


hamari zat mein baste sabhi hain


hamārī zaat meñ baste sabhī haiñ
ham achchhe haiñ to phir achchhe sabhī haiñ

yaqīñ kaise kareñ va.ade pe tere
yahī va.ada hai jo karte sabhī haiñ

dikhā.ī kyuuñ nahīñ detā kisī ko
ḳhudā kī khoj meñ nikle sabhī haiñ

mire andar faqat qatra nahīñ hai
samundar jhiil aur jharne sabhī haiñ

zamīñ par aa.egā vo āsmāñ se
nazāra dekhne Thahre sabhī haiñ

chalī thī ik havā kuchh der pahle
usī ke ḳhauf se sahme sabhī haiñ

sabaq lete nahīñ ham kyuuñ kisī se
hamāre sāmne qisse sabhī haiñ

hamari zat mein baste sabhi hain
hum achchhe hain to phir achchhe sabhi hain

yaqin kaise karen wade pe tere
yahi wada hai jo karte sabhi hain

dikhai kyun nahin deta kisi ko
KHuda ki khoj mein nikle sabhi hain

mere andar faqat qatra nahin hai
samundar jhil aur jharne sabhi hain

zamin par aaega wo aasman se
nazara dekhne Thahre sabhi hain

chali thi ek hawa kuchh der pahle
usi ke KHauf se sahme sabhi hain

sabaq lete nahin hum kyun kisi se
hamare samne qisse sabhi hain


Source: Book : Atraaf (Pg. 84) Author : Obaid Haris Publication : National Human For Needful Foundation, Nagpur (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+