kabhī tavīl kabhī muḳhtasar bhī hotī hai
har ek raat kī lekin sahar bhī hotī hai
mujhe azal se milā ek to mizāj-e-junūñ
aur ik adā tirī dīvāna-gar bhī hotī hai
nigāh-e-yār ne kyā kyā khilā diye haiñ gul
vahī rulātī vahī chāra-gar bhī hotī hai
itāb-e-dost bhī kyoñ kar aziiz ho na mujhe
karam kī us meñ chhupī ik nazar bhī hotī hai
'habīb' aañkh se Tapkī huī ye ashk kī buuñd
jigar kā ḳhuun kabhī ye guhar bhī hotī hai
kabhi tawil kabhi muKHtasar bhi hoti hai
har ek raat ki lekin sahar bhi hoti hai
mujhe azal se mila ek to mizaj-e-junun
aur ek ada teri diwana-gar bhi hoti hai
nigah-e-yar ne kya kya khila diye hain gul
wahi rulati wahi chaara-gar bhi hoti hai
itab-e-dost bhi kyon kar aziz ho na mujhe
karam ki us mein chhupi ek nazar bhi hoti hai
'habib' aankh se Tapki hui ye ashk ki bund
jigar ka KHun kabhi ye guhar bhi hoti hai
RECITATIONS
Deepak Pandit
00:00/00:00
kabhi taweel kabhi mukhtasar bhi hoti hai
Deepak Pandit
Source: Book : نغمۂ زندگی (Pg. 33) Author : جے کرشن چودھری حبیب
Leave a comment