Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


gham judai ka na shayad mujhe itna hota


ġham judā.ī kā na shāyad mujhe itnā hotā
tum ne ai kaash jo mujh ko kabhī samjhā hotā

ibn-e-ādam na kabhī is tarah tishna hotā
ret pe us ko jo paanī kā na dhokā hotā

ain mumkin hai ki zid chhoḌ ke vo ruk jaatā
jaane vaale ne jo muḌ kar mujhe dekhā hotā

kyā ajab hai ki vo gandum ko na chhūtā hargiz
mard-e-avval na agar baḳht kā maarā hotā

do qadam saath to milte mire ahbāb 'naresh'
kaash har dost ne vishvās na toḌā hotā

gham judai ka na shayad mujhe itna hota
tum ne ai kash jo mujh ko kabhi samjha hota

ibn-e-adam na kabhi is tarah tishna hota
ret pe us ko jo pani ka na dhoka hota

ain mumkin hai ki zid chhoD ke wo ruk jata
jaane wale ne jo muD kar mujhe dekha hota

kya ajab hai ki wo gandum ko na chhuta hargiz
mard-e-awwal na agar baKHt ka mara hota

do qadam sath to milte mere ahbab 'naresh'
kash har dost ne wishwas na toDa hota


Source:

Leave a comment

+