Warning: session_start(): open(/tmp/sess_3qqonugr5gqhdcqktqjt1d0587, O_RDWR) failed: No space left on device (28) in /razi/eraazi/darbari/chunmun/index.php on line 15
chandni chup rahi raushni chup rahi

Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Najma Shaheen Khosa

  • Ghazal


chandni chup rahi raushni chup rahi


chāñdnī chup rahī raushnī chup rahī
merī har baat par zindagī chup rahī

ham to ghuT ghuT ke ik roz mar jā.eñge
is ghuTan meñ agar aañkh bhī chup rahī

dard merā bayāñ un se kab ho sakā
sher ḳhāmosh the shā.irī chup rahī

ik yaqīñ thā palaT aa.egā vo abhī
maiñ to bas us kī rah dekhtī chup rahī

mujh ko maqtal meñ jis roz bhejā gayā
sochtī huuñ maiñ kyuuñ us ghaḌī chup rahī

maiñ ne 'shāhīn' jīvan guzārā hai yuuñ
niiñd meñ baat kī jāgtī chup rahī

chandni chup rahi raushni chup rahi
meri har baat par zindagi chup rahi

hum to ghuT ghuT ke ek roz mar jaenge
is ghuTan mein agar aankh bhi chup rahi

dard mera bayan un se kab ho saka
sher KHamosh the shairi chup rahi

ek yaqin tha palaT aaega wo abhi
main to bas us ki rah dekhti chup rahi

mujh ko maqtal mein jis roz bheja gaya
sochti hun main kyun us ghaDi chup rahi

main ne 'shahin' jiwan guzara hai yun
nind mein baat ki jagti chup rahi


Leave a comment

+