Subscribe to our newsletter and get our newest updates

B S Jain Jauhar

  • Ghazal


ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche


ik huuk sī jab dil meñ uTThī jazbāt hamāre aa pahuñche
alfāz jo zehn meñ mauzūñ the hoñToñ ke kināre aa pahuñche

hālāt ġham-e-dil kah na sake aur dard-e-darūñ bhī sah na sake
aañsū jo hisār-e-chashm meñ the palkoñ ke sahāre aa pahuñche

mañjhdār meñ the aur Dar ye thā ki Duub hī jā.eñge ab ham
maujoñ meñ jo lahrā.ī kashtī tinkoñ ke sahāre aa pahuñche

ham josh-e-javānī meñ aa kar ik lā-mahdūd safar meñ the
ma.alūm huā manzil ye na thī jab ghaaT kināre aa pahuñche

ik umr guzārī thī ham ne mazlūmoñ kī hī himāyat meñ
jab gosha-nashīnī kī Thānī phir zulm ke maare aa pahuñche

bachpan meñ bahut dukh hotā thā mazlūm kī āh-o-zārī par
hote hī javāñ bahlāne ko duniyā ke nazāre aa pahuñche

duniyā ke havādis ne itnā pāmāl kiyā ham ko 'jauhar'
bachne kī koī ummīd na thī qismat ke sitāre aa pahuñche

ek huk si jab dil mein uTThi jazbaat hamare aa pahunche
alfaz jo zehn mein mauzun the honTon ke kinare aa pahunche

haalat gham-e-dil kah na sake aur dard-e-darun bhi sah na sake
aansu jo hisar-e-chashm mein the palkon ke sahaare aa pahunche

manjhdar mein the aur Dar ye tha ki Dub hi jaenge ab hum
maujon mein jo lahrai kashti tinkon ke sahaare aa pahunche

hum josh-e-jawani mein aa kar ek la-mahdud safar mein the
malum hua manzil ye na thi jab ghaT kinare aa pahunche

ek umr guzari thi hum ne mazlumon ki hi himayat mein
jab gosha-nashini ki Thani phir zulm ke mare aa pahunche

bachpan mein bahut dukh hota tha mazlum ki aah-o-zari par
hote hi jawan bahlane ko duniya ke nazare aa pahunche

duniya ke hawadis ne itna pamal kiya hum ko 'jauhar'
bachne ki koi ummid na thi qismat ke sitare aa pahunche


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 415) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14

Leave a comment

+