Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iliyas Babar Aawan

  • Ghazal


thoDi chandi thoDa gara lagta hai


thoḌī chāñdī thoḌā gaarā lagtā hai
tab jā kar ā.īna pyārā lagtā hai

fursat ke lamhāt kamāne kī ḳhātir
achchhā-ḳhāsā vaqt hamārā lagtā hai

maiñ dariyā ke vahshī-pan se vāqif huuñ
mere ghar ke saath kinārā lagtā hai

un se hī siñghār kī chīzeñ bantī haiñ
jin peḌoñ ke jism pe aarā lagtā hai

ham donoñ ne raat guzārī ā.ankhoñ meñ
ā.īna bhī hijr kā maarā lagtā hai

thoDi chandi thoDa gara lagta hai
tab ja kar aaina pyara lagta hai

fursat ke lamhat kamane ki KHatir
achchha-KHasa waqt hamara lagta hai

main dariya ke wahshi-pan se waqif hun
mere ghar ke sath kinara lagta hai

un se hi singhaar ki chizen banti hain
jin peDon ke jism pe aara lagta hai

hum donon ne raat guzari aaankhon mein
aaina bhi hijr ka mara lagta hai


Leave a comment

+