Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Faraz

  • Ghazal


meri manzilen kahin aur hain mera rasta koi aur hai


mirī manzileñ kahīñ aur haiñ mirā rāsta koī aur hai
haTo raah se mirī ḳhizr-jī mirā rahnumā koī aur hai

ye ajiib mantiq-e-ishq hai magar is meñ kuchh bhī na ban paḌe
mire dil meñ yaad kisī kī hai mujhe bhūltā koī aur hai

mirī jumbisheñ mirī laġhzisheñ mire bas meñ hoñgī na thiiñ na haiñ
maiñ qayām kartā huuñ zehan meñ mujhe sochtā koī aur hai

tire husn tere jamāl kā maiñ divāna yuuñ hī nahīñ huā
hai mujhe ḳhabar tire ruup meñ ye chhupā huā koī aur hai

nahīñ mujh ko tujh se koī gila hai alag tarah mirā silsila
ki tire ḳhudā ka.ī aur haiñ to mirā ḳhudā koī aur hai

meri manzilen kahin aur hain mera rasta koi aur hai
haTo rah se meri KHizr-ji mera rahnuma koi aur hai

ye ajib mantiq-e-ishq hai magar is mein kuchh bhi na ban paDe
mere dil mein yaad kisi ki hai mujhe bhulta koi aur hai

meri jumbishen meri laghzishen mere bas mein hongi na thin na hain
main qayam karta hun zehan mein mujhe sochta koi aur hai

tere husn tere jamal ka main diwana yun hi nahin hua
hai mujhe KHabar tere rup mein ye chhupa hua koi aur hai

nahin mujh ko tujh se koi gila hai alag tarah mera silsila
ki tere KHuda kai aur hain to mera KHuda koi aur hai


Source: Book : Kashkol (Pg. 55) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+