Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jameela Khuda Bakhsh

  • Ghazal


hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye


hujūm-e-rañj-o-alam hai ye nīm-jāñ ke liye
jafā vo karte haiñ āshiq pe imtihāñ ke liye

butoñ ke jaur-o-jafā par maiñ sabr kartā huuñ
yahāñ ke vāste kuchh hai to kuchh vahāñ ke liye

ḳhudā ke vāste rahne de apne dar pe use
banā hai sañg ye dil tere āstāñ ke liye

hamāre pahlū-e-ġhamgīñ meñ haif ye dil-e-zār
nazākatoñ se palā ulfat-e-butāñ ke liye

Tapak ke dīda-e-pur-nam se kyuuñ na gir jaatā
banā lahū mirā dil chashm-e-ḳhūñ-chakāñ ke liye

havā-e-tund ḳhudā ke liye na chheḌ mujhe
ġhubār-e-rāh banā huuñ maiñ kārvāñ ke liye

kiyā hai dard-e-dil-e-zār ne use aajiz
laboñ pe jān-e-hazīñ aa.ī hai fuġhāñ ke liye

'jamīla' tā-dar-e-mahbūb kis tarah jā.ūñ
qadam uThānā hai dushvār nā-tavāñ ke liye

hujum-e-ranj-o-alam hai ye nim-jaan ke liye
jafa wo karte hain aashiq pe imtihan ke liye

buton ke jaur-o-jafa par main sabr karta hun
yahan ke waste kuchh hai to kuchh wahan ke liye

KHuda ke waste rahne de apne dar pe use
bana hai sang ye dil tere aastan ke liye

hamare pahlu-e-ghamgin mein haif ye dil-e-zar
nazakaton se pala ulfat-e-butan ke liye

Tapak ke dida-e-pur-nam se kyun na gir jata
bana lahu mera dil chashm-e-KHun-chakan ke liye

hawa-e-tund KHuda ke liye na chheD mujhe
ghubar-e-rah bana hun main karwan ke liye

kiya hai dard-e-dil-e-zar ne use aajiz
labon pe jaan-e-hazin aai hai fughan ke liye

'jamila' ta-dar-e-mahbub kis tarah jaun
qadam uThana hai dushwar na-tawan ke liye


Leave a comment

+