Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Gopal Krishn Shafaq

  • Ghazal


mohabbat ka jise sauda hua hai


mohabbat kā jise saudā huā hai
na jaane kyā se kyā vo ho gayā hai

tirā dīvāna manzil pā gayā hai
junūn-e-āshiqī kaam aa gayā hai

kahīñ bhī dil nahīñ lagtā hamārā
na jaane ham ko ye kyā ho gayā hai

zamāne bhar kī ḳhushiyoñ kā hai hāmil
vo ġham jo terī ulfat ne diyā hai

miTā kar apnī ḳhushiyoñ kī bahāreñ
tire dāman ko ḳhushiyoñ se bharā hai

'shafaq' kuchh to batā de kaun hai vo
tire sheroñ meñ jo simTā huā hai

mohabbat ka jise sauda hua hai
na jaane kya se kya wo ho gaya hai

tera diwana manzil pa gaya hai
junun-e-ashiqi kaam aa gaya hai

kahin bhi dil nahin lagta hamara
na jaane hum ko ye kya ho gaya hai

zamane bhar ki KHushiyon ka hai hamil
wo gham jo teri ulfat ne diya hai

miTa kar apni KHushiyon ki bahaaren
tere daman ko KHushiyon se bhara hai

'shafaq' kuchh to bata de kaun hai wo
tere sheron mein jo simTa hua hai


Source: Book : Mauj-e-shafaq (Pg. 37) Author : Dr. Gopal Krishn Shafaq Publication : Dr. Gopal Krishn Shafaq (1995) Edition : 1995

Leave a comment

+