Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Pratap Somvanshi

  • Ghazal


KHud ko kitni der manana paDta hai


ḳhud ko kitnī der manānā paḌtā hai
lafzoñ ko jab rañg lagānā paḌtā hai

choTī tak pahuñchī rāhoñ se sīkho bhī
kaise parvat kaaT ke aanā paḌtā hai

bachchoñ kī muskān bahut hī mahñgī hai
do do paise roz bachānā paḌtā hai

sach kā kapḌā phuul se halkā hotā hai
jhuuT kā parvat laad ke jaanā paḌtā hai

sūraj ko gaalī dene kā fashion hai
chhāñv kī ḳhātir peḌ lagānā paḌtā hai

dil kā kyā hai jo kah do sun letā hai
āñkhoñ ko aksar samjhānā paḌtā hai

KHud ko kitni der manana paDta hai
lafzon ko jab rang lagana paDta hai

choTi tak pahunchi rahon se sikho bhi
kaise parwat kaT ke aana paDta hai

bachchon ki muskan bahut hi mahngi hai
do do paise roz bachana paDta hai

sach ka kapDa phul se halka hota hai
jhuT ka parwat lad ke jaana paDta hai

suraj ko gali dene ka fashion hai
chhanw ki KHatir peD lagana paDta hai

dil ka kya hai jo kah do sun leta hai
aankhon ko aksar samjhana paDta hai


Source: Book : Itwar chhota pad gaya (Pg. 90) Author : Pratap Somvanshi Publication : Vani Prakashan (2016) Edition : 2016

Leave a comment

+