Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ejaz Obaid

  • Ghazal


dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe


dikhātā kyā hai ye TuuTī huī kamān mujhe
tirā shikār huuñ achchhī tarah se jaan mujhe

havā ne ret kī sūrat zamīñ pe likh dī hai
dikhā.ī detī hai patthar kī dāstān mujhe

ik āsmāñ ne zamīñ par girā diyā lekin
zamīñ ne phir se banā Daalā āsmān mujhe

maiñ is havā kā nahīñ pāniyoñ kā qaidī huuñ
na jaane kyuuñ liye phirtā hai bādbān mujhe

zamīñ se sirf jazīra dikhā.ī detā hai
koī na jaan sakā aaj tak chaTān mujhe

na jaane tiir kī mānind kaise chubhne lagā
vo shaḳhs lagtā thā TuuTī huī kamān mujhe

dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe
tera shikar hun achchhi tarah se jaan mujhe

hawa ne ret ki surat zamin pe likh di hai
dikhai deti hai patthar ki dastan mujhe

ek aasman ne zamin par gira diya lekin
zamin ne phir se bana Dala aasman mujhe

main is hawa ka nahin paniyon ka qaidi hun
na jaane kyun liye phirta hai baadban mujhe

zamin se sirf jazira dikhai deta hai
koi na jaan saka aaj tak chaTan mujhe

na jaane tir ki manind kaise chubhne laga
wo shaKHs lagta tha TuTi hui kaman mujhe


Leave a comment

+