Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aadil Raza Mansoori

  • Ghazal


jo ashk ban ke hamari palak pe baiTha tha


jo ashk ban ke hamārī palak pe baiThā thā
tumheñ bhī yaad hai ab tak vo ḳhvāb kis kā thā

hamesha pūchhtī rahtī hai rāstoñ kī havā
yūñhī ruke ho yahāñ yā kisī ne rokā thā

lagā huā hai abhī tak ye jaan ko khaTkā
ki us ne jaate hue kyuuñ palaT ke dekhā thā

ḳhabar kise hai kise pūchhiye batā.e kaun
purāne qasr meñ kyā sub.h-o-shām jaltā thā

vajūd hai ye kahīñ bah na jaa.e lahroñ meñ
girā girā ke palak aabjū ko rokā thā

fazā.eñ aisī to 'ādil' kabhī na mahkī thiiñ
havā ke haath pe ye kis kā naam likkhā thā

jo ashk ban ke hamari palak pe baiTha tha
tumhein bhi yaad hai ab tak wo KHwab kis ka tha

hamesha puchhti rahti hai raston ki hawa
yunhi ruke ho yahan ya kisi ne roka tha

laga hua hai abhi tak ye jaan ko khaTka
ki us ne jate hue kyun palaT ke dekha tha

KHabar kise hai kise puchhiye batae kaun
purane qasr mein kya subh-o-sham jalta tha

wajud hai ye kahin bah na jae lahron mein
gira gira ke palak aabju ko roka tha

fazaen aisi to 'adil' kabhi na mahki thin
hawa ke hath pe ye kis ka nam likkha tha


Leave a comment

+