Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Faraz

  • Ghazal


waqt karta hai KHud-kushi mujh mein


vaqt kartā hai ḳhud-kushī mujh meñ
lamha lamha hai zindagī mujh meñ

sone vaalī samā.ato jaago
ḳhāmushī bolne lagī mujh meñ

shukriya ai jalāne vaale terā
duur tak ab hai raushnī mujh meñ

roz apnā hī ḳhuun piitā huuñ
aisī kab thī darindagī mujh meñ

is na.e daur meñ na kho jaa.e
ye jo baaqī hai sādgī mujh meñ

sher merā thā daad us ko milī
shaḳhsiyat kī kamī jo thī mujh meñ

jāntā huuñ maiñ apne qātil ko
roz kartā hai ḳhud-kushī mujh meñ

sher kahnā nahīñ hai sahal 'farāz'
ye vadī.at hai qudratī mujh meñ

waqt karta hai KHud-kushi mujh mein
lamha lamha hai zindagi mujh mein

sone wali samaato jago
KHamushi bolne lagi mujh mein

shukriya ai jalane wale tera
dur tak ab hai raushni mujh mein

roz apna hi KHun pita hun
aisi kab thi darindagi mujh mein

is nae daur mein na kho jae
ye jo baqi hai sadgi mujh mein

sher mera tha dad us ko mili
shaKHsiyat ki kami jo thi mujh mein

jaanta hun main apne qatil ko
roz karta hai KHud-kushi mujh mein

sher kahna nahin hai sahal 'faraaz'
ye wadiat hai qudrati mujh mein


Source: Book : Kashkol (Pg. 35) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+