Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


tere baghair nahin dekh jhank kar koi


tire baġhair nahīñ dekh jhāñk kar koī
ye dil vo dil thā ki jis kā nahīñ thā dar koī

batā de vahshatoñ kī fauj ko chalī jaa.e
batā de jā ke nahīñ yuuñ bhī aaj ghar koī

maiñ jā rahā huuñ fasīlo, darḳhto tasvīro
so tum meñ to nahīñ hai merā ham-safar koī

use kaho ki kisī ko tirī zarūrat hai
kaho ki jāgtā rahtā hai rāt-bhar koī

ye dasht dasht nahīñ lag rahā mujhe 'e.azāz'
ki maiñ ne chhoḌī nahīñ us kī rahguzar koī

tere baghair nahin dekh jhank kar koi
ye dil wo dil tha ki jis ka nahin tha dar koi

bata de wahshaton ki fauj ko chali jae
bata de ja ke nahin yun bhi aaj ghar koi

main ja raha hun fasilo, darKHto taswiro
so tum mein to nahin hai mera ham-safar koi

use kaho ki kisi ko teri zarurat hai
kaho ki jagta rahta hai raat-bhar koi

ye dasht dasht nahin lag raha mujhe 'eazaz'
ki main ne chhoDi nahin us ki rahguzar koi


Leave a comment

+