Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Urooj Zehra Zaidi

  • Ghazal


ho tera ishq meri zat ka mehwar jaise


ho tirā ishq mirī zaat kā mehvar jaise
usī ehsās kī maiñ ho ga.ī ḳhūgar jaise

ek vīrānī tire lahje se aa.ī mujh tak
phir vahī mere utar aa.ī ho andar jaise

koī bhī kaam mere haq meñ nahīñ ho paatā
ruuTh kar baiTh gayā ho ye muqaddar jaise

vo koī vaqt thā jab dil thā baḌā nāzuk sā
ab to siine meñ rakhā hai koī patthar jaise

ho tirā haal mere ishq meñ vaisā 'zehrā'
hai mirā haal tire hijr meñ abtar jaise

ho tera ishq meri zat ka mehwar jaise
usi ehsas ki main ho gai KHugar jaise

ek virani tere lahje se aai mujh tak
phir wahi mere utar aai ho andar jaise

koi bhi kaam mere haq mein nahin ho pata
ruTh kar baiTh gaya ho ye muqaddar jaise

wo koi waqt tha jab dil tha baDa nazuk sa
ab to sine mein rakha hai koi patthar jaise

ho tera haal mere ishq mein waisa 'zehra'
hai mera haal tere hijr mein abtar jaise


Leave a comment

+