Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


mil hi jaani thi munasib koi qimat mujhko


mil hī jaanī thī munāsib koī qīmat mujh ko
tū ne samjhā hai magar māl-e-ġhanīmat mujh ko

merī nīndeñ hī sabab haiñ mirī bedārī kā
mere ḳhvāboñ se hī hotī hai aziyyat mujh ko

ek rishte ko bachāne ke liye āThoñ pahar
karnī paḌtī hai amānat meñ ḳhayānat mujh ko

sochtā huuñ ki nikal aa.uuñ maiñ bāhar ghar se
DhūñDhtī phirtī hai kuchh roz se shohrat mujh ko

mujh se baḌh kar hī nahīñ koī bhī ab merā harīf
ḳhud se har vaqt hī rahtī hai shikāyat mujh ko

ab to har lamha jhukā hai ye anā kā palḌā
mahñgī paḌne lagī ab merī sharāfat mujh ko

thā karam kam hī kahāñ mujh pe mire mālik kā
dekhne kī hī milī nā kabhī fursat mujh ko

ḳhud ko rakh chhoḌā hai ab maiñ ne havā par 'vāhid'
le ke jaatī hai kidhar dekhiye qismat mujh ko

mil hi jaani thi munasib koi qimat mujh ko
tu ne samjha hai magar mal-e-ghanimat mujh ko

meri ninden hi sabab hain meri bedari ka
mere KHwabon se hi hoti hai aziyyat mujh ko

ek rishte ko bachane ke liye aaThon pahar
karni paDti hai amanat mein KHayanat mujh ko

sochta hun ki nikal aaun main bahar ghar se
DhunDhti phirti hai kuchh roz se shohrat mujh ko

mujh se baDh kar hi nahin koi bhi ab mera harif
KHud se har waqt hi rahti hai shikayat mujh ko

ab to har lamha jhuka hai ye ana ka palDa
mahngi paDne lagi ab meri sharafat mujh ko

tha karam kam hi kahan mujh pe mere malik ka
dekhne ki hi mili na kabhi fursat mujh ko

KHud ko rakh chhoDa hai ab main ne hawa par 'wahid'
le ke jati hai kidhar dekhiye qismat mujh ko


Leave a comment

+