har dard kī davā bhī zarūrī nahīñ ki ho
mere liye zarā bhī zarūrī nahīñ ki ho
rahtā hai zehn o dil meñ jo ehsās kī tarah
us kā koī patā bhī zarūrī nahīñ ki ho
insān se milo bhī to insān jaan kar
har shaḳhs devtā bhī zarūrī nahīñ ki ho
kis ne tumheñ zabān atā kī ki aaj tum
kahte ho jo ḳhudā bhī zarūrī nahīñ ki ho
qaa.em 'azīm' us kī razā se hai zindagī
is meñ mirī razā bhī zarūrī nahīñ ki ho
har dard ki dawa bhi zaruri nahin ki ho
mere liye zara bhi zaruri nahin ki ho
rahta hai zehn o dil mein jo ehsas ki tarah
us ka koi pata bhi zaruri nahin ki ho
insan se milo bhi to insan jaan kar
har shaKHs dewta bhi zaruri nahin ki ho
kis ne tumhein zaban ata ki ki aaj tum
kahte ho jo KHuda bhi zaruri nahin ki ho
qaem 'azim' us ki raza se hai zindagi
is mein meri raza bhi zaruri nahin ki ho
Leave a comment