hazāroñ saal se maiñ jis ke intizār meñ thā
vo aks-e-ḳhvāb to mere hī iḳhtiyār meñ thā
vo merī zaat ke partav se māhtāb huā
vagarna kurra-e-be-nūr kis shumār meñ thā
koī lagāo na thā ab hare shajar se mujhe
maiñ barg-e-ḳhushk thā uḌte hue ġhubār meñ thā
safar meñ yūñhī jhulastā rahā ḳhabar na huī
ki ThanDe paanī kā chashma bhī rahguzār meñ thā
maiñ bad-gumāñ na kabhī us se ho sakā 'aḳhtar'
ajab tarah kā maza us ke jhūTe pyaar meñ thā
hazaron sal se main jis ke intizar mein tha
wo aks-e-KHwab to mere hi iKHtiyar mein tha
wo meri zat ke partaw se mahtab hua
wagarna kurra-e-be-nur kis shumar mein tha
koi lagao na tha ab hare shajar se mujhe
main barg-e-KHushk tha uDte hue ghubar mein tha
safar mein yunhi jhulasta raha KHabar na hui
ki ThanDe pani ka chashma bhi rahguzar mein tha
main bad-guman na kabhi us se ho saka 'aKHtar'
ajab tarah ka maza us ke jhuTe pyar mein tha
Source: Shora-e-Ajmer
Leave a comment