Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Raza

  • Ghazal


buri baat un ko hamari lage


burī baat un ko hamārī lage
hameñ un kī har baat pyārī lage

na.e tarz kī un kī yaarī lage
kareñ aisī bāteñ kaTārī lage

ye jharne ye laala ye sabza ye gul
chaman meñ har ik shai tumhārī lage

ye maj.hūl sī dostī kyā kareñ
hameñ dushmanī dil se pyārī lage

kalī sā badan hai ki mauj-e-bahār
vo sar se qadam tak kuñvārī lage

ye dil kī amānat baneñ to sahī
jo tīr-e-sitam baarī baarī lage

diloñ meñ jo utre to lahrā.e barq
nigāh-e-karam sehar-kārī lage

kisī ḳhūn-e-nāhaq kī gul-reziyāñ
chaman-dar-chaman lāla-kārī lage

ġhazal aisī kah dī hai jāfar-'razā'
raqībāñ ke dil par kaTārī lage

buri baat un ko hamari lage
hamein un ki har baat pyari lage

nae tarz ki un ki yari lage
karen aisi baaten kaTari lage

ye jharne ye lala ye sabza ye gul
chaman mein har ek shai tumhaari lage

ye majhul si dosti kya karen
hamein dushmani dil se pyari lage

kali sa badan hai ki mauj-e-bahaar
wo sar se qadam tak kunwari lage

ye dil ki amanat banen to sahi
jo tir-e-sitam bari bari lage

dilon mein jo utre to lahrae barq
nigah-e-karam sehar-kari lage

kisi KHun-e-nahaq ki gul-reziyan
chaman-dar-chaman lala-kari lage

ghazal aisi kah di hai jafar-'raza'
raqiban ke dil par kaTari lage


Leave a comment

+