Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghulam Husain Sajid

  • Ghazal


mere najm-e-KHwab ke ru-ba-ru koi shai nahin mere Dhang ki


mire najm-e-ḳhvāb ke rū-ba-rū koī shai nahīñ mire Dhañg kī
ye falak hai kisht-e-ġhubār sā ye zamīñ hai paanī ke rañg kī

kisī shaam mere jilau meñ thā koī ḳhvāb vus.at-e-shahr kā
kisī sub.h mere vajūd par ye zamīn logoñ ne tañg kī

mirī be-kalī kā subūt hai mirī sham.a-e-ḳhvāb ke sāmne
koī garm mauj gumān kī koī sard lahr umañg kī

mire āsmāñ ke liye na thā koī phuul ātish-e-sub.h kā
so mire lahū ke charāġh ne ka.ī sard rātoñ se jañg kī

mire ḳhāk-dāñ kī sipar to hai kisī mauj-e-tez se aa.ina
mire ḳhvāb-e-satez kī teġh par vahī tā damaktī hai zañg kī

mere najm-e-KHwab ke ru-ba-ru koi shai nahin mere Dhang ki
ye falak hai kisht-e-ghubar sa ye zamin hai pani ke rang ki

kisi sham mere jilau mein tha koi KHwab wusat-e-shahr ka
kisi subh mere wajud par ye zamin logon ne tang ki

meri be-kali ka subut hai meri shama-e-KHwab ke samne
koi garm mauj guman ki koi sard lahr umang ki

mere aasman ke liye na tha koi phul aatish-e-subh ka
so mere lahu ke charagh ne kai sard raaton se jang ki

mere KHak-dan ki sipar to hai kisi mauj-e-tez se aaina
mere KHwab-e-satez ki tegh par wahi ta damakti hai zang ki


Source: Book : Monthly Usloob (Pg. 394) Author : Mushfiq Khawaja Publication : Usloob 3D 9—26 Nazimabad karachi   180007 (Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6) Edition : Oct. õ Nov. 1983,Issue No. 5-6

Leave a comment

+