Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Haidar Qureshi

  • Ghazal


KHamosh aankhon se karta raha sawal mujhe


ḳhamosh āñkhoñ se kartā rahā savāl mujhe
vo aa ke kah na sakā apne dil kā haal mujhe

kabhī to ḳhud ko bhī pahchānñe kī koshish kar
hisār-e-zāt se aa kar kabhī nikāl mujhe

ye be-yaqīnī kā gahrā sukūt to TuuTe
fareb de koī ḳhush-fahmiyoñ meñ Daal mujhe

vo naam likkhūñ to lafzoñ se ḳhushbūeñ uTTheñ
vo de gayā jo mahakte hue ḳhayāl mujhe

ga.e zamāne liye phir vo aa gayā 'haidar'
bikhar na jā.ūñ kahīñ phir zarā sambhāl mujhe

KHamosh aankhon se karta raha sawal mujhe
wo aa ke kah na saka apne dil ka haal mujhe

kabhi to KHud ko bhi pahchanne ki koshish kar
hisar-e-zat se aa kar kabhi nikal mujhe

ye be-yaqini ka gahra sukut to TuTe
fareb de koi KHush-fahmiyon mein Dal mujhe

wo nam likkhun to lafzon se KHushbuen uTThen
wo de gaya jo mahakte hue KHayal mujhe

gae zamane liye phir wo aa gaya 'haidar'
bikhar na jaun kahin phir zara sambhaal mujhe


Leave a comment

+