Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tahir Azeem

  • Ghazal


baDh raha hun KHayal se aage


baḌh rahā huuñ ḳhayāl se aage
kuchh nahīñ maah o saal se aage

bas haqīqat hai jo nazar aayā
hai fasāna jamāl se aage

maiñ tire hijr meñ jo zinda huuñ
sochtā huuñ visāl se aage

is qadar bā-kamāl haiñ ye log
kuchh kareñge kamāl se aage

shauq sadme se ho gayā do-chār
baḌh na paayā dhamāl se aage

ye jo maazī kī baat karte haiñ
sochte hoñge haal se aage

baDh raha hun KHayal se aage
kuchh nahin mah o sal se aage

bas haqiqat hai jo nazar aaya
hai fasana jamal se aage

main tere hijr mein jo zinda hun
sochta hun visal se aage

is qadar ba-kamal hain ye log
kuchh karenge kamal se aage

shauq sadme se ho gaya do-chaar
baDh na paya dhamal se aage

ye jo mazi ki baat karte hain
sochte honge haal se aage


Leave a comment

+