mirā vajūd hī jab ḳhār-o-ḳhas ke andar thā
maiñ us samay bhī tirī dastaras ke andar thā
maiñ dekhtā thā barābar amal kā radd-e-amal
dabī huī thī saḌak shor bus ke andar thā
mujhe samajhte the kuchh log barguzīda shajar
havas-parast nahīñ thā havas ke andar thā
maiñ kis tarah se mohabbat kī baat kar paatā
vo ḳhush-mizāj parinda qafas ke andar thā
pachās saal masāfat hī kāTnā thī mujhe
vagarna marnā to pahle baras ke andar thā
mera wajud hi jab KHar-o-KHas ke andar tha
main us samay bhi teri dastaras ke andar tha
main dekhta tha barabar amal ka radd-e-amal
dabi hui thi saDak shor bus ke andar tha
mujhe samajhte the kuchh log barguzida shajar
hawas-parast nahin tha hawas ke andar tha
main kis tarah se mohabbat ki baat kar pata
wo KHush-mizaj parinda qafas ke andar tha
pachas sal masafat hi kaTna thi mujhe
wagarna marna to pahle baras ke andar tha
Leave a comment