Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Mahmood Shaam

  • Ghazal


mere liye teri nazron ki raushni hai bahut


mire liye tirī nazroñ kī raushnī hai bahut
ki dekh luuñ tujhe pal bhar mujhe yahī hai bahut

ye aur baat ki chāhat ke zaḳhm gahre haiñ
tujhe bhulāne kī koshish to varna kī hai bahut

kuchh is ḳhatā kī sazā bhī to kam nahīñ miltī
ġharīb-e-shahr ko ik jurm-e-āgahī hai bahut

kahāñ se lā.ūñ vo chehra vo guftugū vo adā
hazār husn hai galiyoñ meñ aadmī hai bahut

kabhī to mohlat-e-nazzāra nik.hat-e-guzarāñ
laboñ pe aag sulagtī hai tishnagī hai bahut

kisī ne hañs ke jo dekhā to ho ga.e us ke
ki is zamāne meñ itnī sī baat bhī hai bahut

mere liye teri nazron ki raushni hai bahut
ki dekh lun tujhe pal bhar mujhe yahi hai bahut

ye aur baat ki chahat ke zaKHm gahre hain
tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut

kuchh is KHata ki saza bhi to kam nahin milti
gharib-e-shahr ko ek jurm-e-agahi hai bahut

kahan se laun wo chehra wo guftugu wo ada
hazar husn hai galiyon mein aadmi hai bahut

kabhi to mohlat-e-nazzara nikhat-e-guzaran
labon pe aag sulagti hai tishnagi hai bahut

kisi ne hans ke jo dekha to ho gae us ke
ki is zamane mein itni si baat bhi hai bahut


Source: Book : Pakistani Adab (Pg. 672) Author : Dr. Rashid Amjad Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009) Edition : 2009

Leave a comment

+