Subscribe to our newsletter and get our newest updates

zahraa Qarar

  • Ghazal


chiz jo bhul kar gai hui thi


chiiz jo bhuul kar ga.ī huī thī
lauTne par vahīñ paḌī huī thī

baap aur bhā.iyoñ ke hote hue
apne pairoñ pe ḳhud khaḌī huī thī

kitne ghanToñ kā ḳhvāb dekhnā hai
haath meñ to ghaḌī bañdhī huī thī

maiñ ne ahbāb se kināra kiyā
mujh ko paisoñ kī jab kamī huī thī

ka.ī sāloñ meñ burqa chhoTā thā
baḌī mushkil se raushnī huī thī

suraḳh-rū kis tarah na hote vo
saath bachchoñ ke maañ lagī huī thī

terī ten.shan meñ piinā bhuul ga.ī
chaa.e to sāmne rakhī huī thī

chiz jo bhul kar gai hui thi
lauTne par wahin paDi hui thi

bap aur bhaiyon ke hote hue
apne pairon pe KHud khaDi hui thi

kitne ghanTon ka KHwab dekhna hai
hath mein to ghaDi bandhi hui thi

main ne ahbab se kinara kiya
mujh ko paison ki jab kami hui thi

kai salon mein burqa chhoTa tha
baDi mushkil se raushni hui thi

suraKH-ru kis tarah na hote wo
sath bachchon ke man lagi hui thi

teri tenshan mein pina bhul gai
chae to samne rakhi hui thi


Leave a comment

+