Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Naresh

  • Ghazal


KHud se bichhaD ke zat ke paikar mein qaid hun


ḳhud se bichhaḌ ke zaat ke paikar meñ qaid huuñ
ghar se nikal gayā thā magar ghar meñ qaid huuñ

huuñ na.ara-e-jihād bhī azm-e-javān bhī
dil meñ kabhī muqīm thā ab sar meñ qaid huuñ

mushtāq-o-muntazir huuñ ki chiñgāriyāñ mileñ
kyā ḳhuub aag ho ke bhī patthar meñ qaid huuñ

dekho to kā.enāt dikhā.ī de zer-e-pā
sochūñ to jaise ḳhud hī samundar meñ qaid huuñ

vo to bulā rahe haiñ magar ai 'naresh' maiñ
apnī anā ke gumbad-e-be-dar meñ qaid huuñ

KHud se bichhaD ke zat ke paikar mein qaid hun
ghar se nikal gaya tha magar ghar mein qaid hun

hun nara-e-jihad bhi azm-e-jawan bhi
dil mein kabhi muqim tha ab sar mein qaid hun

mushtaq-o-muntazir hun ki chingariyan milen
kya KHub aag ho ke bhi patthar mein qaid hun

dekho to kaenat dikhai de zer-e-pa
sochun to jaise KHud hi samundar mein qaid hun

wo to bula rahe hain magar ai 'naresh' main
apni ana ke gumbad-e-be-dar mein qaid hun


Source:

Leave a comment

+