Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hafeez Merathi

  • Ghazal


is diwane dil ko dekho kya shewa apnae hai


is dīvāne dil ko dekho kyā sheva apnā.e hai
us par hī vishvās kare hai jis se dhoka khaa.e hai
saarā kaleja kaT kaT kar jab ashkoñ meñ bah jaa.e hai
tab koī farhād bane hai tab majnūñ kahlā.e hai
maiñ jo taḌap kar ro.uuñ huuñ to zālim yuuñ farmā.e hai
itnā gahrā ghaav kahāñ hai nāhaq shor machā.e hai
tum ne mujh ko rañj diyā to is meñ tumhārā dosh nahīñ
phuul bhī kāñTā ban jaa.e hai vaqt burā jab aa.e hai

is diwane dil ko dekho kya shewa apnae hai
us par hi wishwas kare hai jis se dhoka khae hai
sara kaleja kaT kaT kar jab ashkon mein bah jae hai
tab koi farhad bane hai tab majnun kahlae hai
main jo taDap kar roun hun to zalim yun farmae hai
itna gahra ghaw kahan hai nahaq shor machae hai
tum ne mujh ko ranj diya to is mein tumhaara dosh nahin
phul bhi kanTa ban jae hai waqt bura jab aae hai


Source: Book : Dastavez (Pg. 18) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+