Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Chand Akbarabadi

  • Ghazal


kabhi gunahon ki mutlaq kafan utar ke aa


kabhī gunāhoñ kī mutlaq kafan utaar ke aa
tū ujlī ruuh se mailā badan utaar ke aa

jo mere vasl kā ehsās tujh pe taarī hai
kisī ke lams kī saarī chhuvan utaar ke aa

na.ī hayāt ke kapḌe liye hai maut khaḌī
purānā zindagī kā pairahan utaar ke aa

nazar meñ sharm hayā kā bhī paas baaqī rahe
nazar kī shoḳhiyoñ ko gul-badan utaar ke aa

na.ī bahār ne paiġhām ye havā ko diyā
guloñ ke tan se ḳhizāñ kā kafan utaar ke aa

hamesha uḌte haiñ taa.ir tire tasavvur ke
kabhī to zehn se fikr-e-suḳhan utaar ke aa

kabhi gunahon ki mutlaq kafan utar ke aa
tu ujli ruh se maila badan utar ke aa

jo mere wasl ka ehsas tujh pe tari hai
kisi ke lams ki sari chhuwan utar ke aa

nai hayat ke kapDe liye hai maut khaDi
purana zindagi ka pairahan utar ke aa

nazar mein sharm haya ka bhi pas baqi rahe
nazar ki shoKHiyon ko gul-badan utar ke aa

nai bahaar ne paigham ye hawa ko diya
gulon ke tan se KHizan ka kafan utar ke aa

hamesha uDte hain tair tere tasawwur ke
kabhi to zehn se fikr-e-suKHan utar ke aa


Leave a comment

+