Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Taimur Hasan

  • Ghazal


tum koi is se tawaqqo na lagana mare dost


tum koī is se tavaqqo na lagānā mare dost
ye zamāna hai zamāna hai zamāna mire dost

sāmne to ho tasavvur meñ kahānī koī
ik haqīqat se baḌā ek fasāna mire dost

mere beTe maiñ tumheñ dost samajhne lagā huuñ
tum baḌe ho ke mujhe duniyā dikhānā mire dost

dekh saktā bhī nahīñ mujh ko zarūrat bhī nahīñ
merī tasvīr magar us ko dikhānā mire dost

kahne vaale ne kahā dekh ke chehra merā
ġham-e-ḳhazāna hai ise sab se chhupānā mire dost

terī mahfil ke liye bā.is-e-barkat hogā
nā-murādān-e-mohabbat ko bulānā mire dost

tum ko ma.alūm to hai mujh pe jo guzrī 'taimūr'
pūchh kar mujh se zarūrī hai rulānā mire dost

tum koi is se tawaqqo na lagana mare dost
ye zamana hai zamana hai zamana mere dost

samne to ho tasawwur mein kahani koi
ek haqiqat se baDa ek fasana mere dost

mere beTe main tumhein dost samajhne laga hun
tum baDe ho ke mujhe duniya dikhana mere dost

dekh sakta bhi nahin mujh ko zarurat bhi nahin
meri taswir magar us ko dikhana mere dost

kahne wale ne kaha dekh ke chehra mera
gham-e-KHazana hai ise sab se chhupana mere dost

teri mahfil ke liye bais-e-barkat hoga
na-muradan-e-mohabbat ko bulana mere dost

tum ko malum to hai mujh pe jo guzri 'taimur'
puchh kar mujh se zaruri hai rulana mere dost


Leave a comment

+