us bevafā kī bazm se chashm-e-ḳhayāl meñ
ik ḳhvāb aarzū kā liye jā rahā huuñ maiñ
dil ko nigāh-e-yār ke nashtar se chheḌ kar
bedār aarzū ko kiye jā rahā huuñ maiñ
bedard mujh se sharh-e-ġham-e-zindagī na pūchh
kaafī hai is qadar ki jiye jā rahā huuñ maiñ
do din kī umr vo bhī milī thī ba-qaid-e-ġham
ye shikva har nafas meñ kiye jā rahā huuñ maiñ
us bewafa ki bazm se chashm-e-KHayal mein
ek KHwab aarzu ka liye ja raha hun main
dil ko nigah-e-yar ke nashtar se chheD kar
bedar aarzu ko kiye ja raha hun main
bedard mujh se sharh-e-gham-e-zindagi na puchh
kafi hai is qadar ki jiye ja raha hun main
do din ki umr wo bhi mili thi ba-qaid-e-gham
ye shikwa har nafas mein kiye ja raha hun main
Source: Book : Jadeed Shora-e-Urdu (Pg. 524) Author : Dr. Abdul Wahid Publication : Feroz sons Printers Publishers and Stationers
Leave a comment