Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Danish Farahi

  • Ghazal


shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya


shīshe se ziyāda nāzuk thā ye shīsha-e-dil jo TuuT gayā
mat pūchho ki mujh par kyā guzrī jab haath se sāġhar chhūT gayā

tārīki-e-mahfil kā shikva tum karte ho ai dīvāno kyuuñ
ḳhud sham.a bujhā dī hai tum ne ḳhud-baḳht tumhārā phuuT gayā

saaqī kī nazar uThtī hī nahīñ kyuuñ bāda-o-sāġhar kī jānib
sarmāya-e-mai-ḳhānā aa kar kyā koī luTerā luuT gayā

mahrūmī-e-qismat kā aalam kyā pūchh rahe ho tum mujh se
manzil to abhī hai duur bahut aur ik ik sāthī chhūT gayā

uThtā hai 'dānish' dil se dhuāñ āñkhoñ se Tapakte haiñ aañsū
kyā ātish-e-ġham dene lagī lau kyā dil kā phaphūlā phuuT gayā

shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya
mat puchho ki mujh par kya guzri jab hath se saghar chhuT gaya

tariki-e-mahfil ka shikwa tum karte ho ai diwano kyun
KHud shama bujha di hai tum ne KHud-baKHt tumhaara phuT gaya

saqi ki nazar uThti hi nahin kyun baada-o-saghar ki jaanib
sarmaya-e-mai-KHana aa kar kya koi luTera luT gaya

mahrumi-e-qismat ka aalam kya puchh rahe ho tum mujh se
manzil to abhi hai dur bahut aur ek ek sathi chhuT gaya

uThta hai 'danish' dil se dhuan aankhon se Tapakte hain aansu
kya aatish-e-gham dene lagi lau kya dil ka phaphula phuT gaya


Source: Book : Danish Kada (Pg. 34) Author : Danish Farahi Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015) Edition : 2015

Leave a comment

+