Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tanvir Dehlvi

  • Ghazal


dost se KHwah wo adu se mile


dost se ḳhvāh vo adū se mile
na hue ham to phir kasū se mile

saath is ke pale haiñ lākhoñ dil
kyuuñ na rañg-e-hinā lahū se mile

vaah ye shakl ye daġhā-bāzī
dil kasū kā liyā kasū se mile

vaise hī hasratoñ ke ḳhuun hue
un se the jaise aarzū se mile

lo ga.e the namāz ko 'tanvīr'
mai-kade ke haiñ rū-ba-rū se mile

dost se KHwah wo adu se mile
na hue hum to phir kasu se mile

sath is ke pale hain lakhon dil
kyun na rang-e-hina lahu se mile

wah ye shakl ye dagha-bazi
dil kasu ka liya kasu se mile

waise hi hasraton ke KHun hue
un se the jaise aarzu se mile

lo gae the namaz ko 'tanwir'
mai-kade ke hain ru-ba-ru se mile


Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001

Leave a comment

+