ek qatra na kahīñ ḳhuuñ kā bahā mere ba.ad
zañg-ālūd huī teġh-e-jafā mere ba.ad
kyuuñ har ik moḌ pe hotā hai ghuTan kā ehsās
tañg kyuuñ hone lagī merī fazā mere ba.ad
dekhte dekhte hī maañd paḌe shams-o-qamar
ḳhud se bezār hue sub.h-o-masā mere ba.ad
har taraf zardi-e-ruḳhsār nazar aatī hai
kahīñ raushan na milā rañg-e-hinā mere ba.ad
ruk gayā qāfila-e-umr-e-subuk-rau shāyad
dekh ḳhāmosh hai āvāz-e-darā mere ba.ad
zindagī bhar na kiyā yaad kisī ne aur ab
pūchhte haiñ vo mere ghar kā patā mere ba.ad
umr bhar us ko sambhāle hue rakkhā maiñ ne
gir na jaa.e kahīñ dīvār-e-anā mere ba.ad
ab bhī kyā is meñ hai ābād syāhī 'hamdam'
mere vīrāne kā kyā haal huā mere ba.ad
ek qatra na kahin KHun ka baha mere baad
zang-alud hui tegh-e-jafa mere baad
kyun har ek moD pe hota hai ghuTan ka ehsas
tang kyun hone lagi meri faza mere baad
dekhte dekhte hi mand paDe shams-o-qamar
KHud se bezar hue subh-o-masa mere baad
har taraf zardi-e-ruKHsar nazar aati hai
kahin raushan na mila rang-e-hina mere baad
ruk gaya qafila-e-umr-e-subuk-rau shayad
dekh KHamosh hai aawaz-e-dara mere baad
zindagi bhar na kiya yaad kisi ne aur ab
puchhte hain wo mere ghar ka pata mere baad
umr bhar us ko sambhaale hue rakkha main ne
gir na jae kahin diwar-e-ana mere baad
ab bhi kya is mein hai aabaad syahi 'hamdam'
mere virane ka kya haal hua mere baad
Source: Book : Waraq-e-saadah (Gazals) (Pg. 27) Author : Hamdam Kashmiri Publication : Hamdam Kashmiri, Khan Mahel, Shrinagar (2012) Edition : 2012
Leave a comment