Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Hairat Gondvi

  • Ghazal


junun ka mere imtihan ho raha hai


junūñ kā mire imtihāñ ho rahā hai
sukūñ aaj bār-e-girāñ ho rahā hai

chamakne lage merī nazroñ meñ zarre
sitāroñ kā chehra dhuāñ ho rahā hai

gunāhoñ se bojhal jabīñ kī badaulat
tirā āstāñ āstāñ ho rahā hai

udhar āsmāñ par chamaktī hai bijlī
mukammal idhar āshiyāñ ho rahā hai

na girdāb o tūfāñ na va.ade muḳhālif
mirā hausla rā.egāñ ho rahā hai

tirā dard ab maiñ samajhne lagā huuñ
mirā dard ab be-zabāñ ho rahā hai

ye kyā kam hai 'hairat' merī kāmyābī
ki ab tak mirā imtihāñ ho rahā hai

junun ka mere imtihan ho raha hai
sukun aaj bar-e-giran ho raha hai

chamakne lage meri nazron mein zarre
sitaron ka chehra dhuan ho raha hai

gunahon se bojhal jabin ki badaulat
tera aastan aastan ho raha hai

udhar aasman par chamakti hai bijli
mukammal idhar aashiyan ho raha hai

na girdab o tufan na wade muKHalif
mera hausla raegan ho raha hai

tera dard ab main samajhne laga hun
mera dard ab be-zaban ho raha hai

ye kya kam hai 'hairat' meri kaamyabi
ki ab tak mera imtihan ho raha hai


Leave a comment

+