hashr ik guzrā hai vīrāne pe ghar hone tak
jaane kyā biitī hai daane pe shajar hone tak
hijr kī shab ye mire soz-e-darūñ kā aalam
jal ke maiñ ḳhaak na ho jā.ūñ sahar hone tak
ahl-e-dil rahte haiñ tā-zīst vafā ke pāband
sham.a har rañg meñ jaltī hai sahar hone tak
be-qarārī kā ye aalam hai sar-e-shām hī jab
dekheñ kyā hotā hai is dil kā sahar hone tak
dekheñge hashr jafāoñ kā ham un kī 'dānish'
rah ga.e zinda jo aahoñ ke asar hone tak
hashr ek guzra hai virane pe ghar hone tak
jaane kya biti hai dane pe shajar hone tak
hijr ki shab ye mere soz-e-darun ka aalam
jal ke main KHak na ho jaun sahar hone tak
ahl-e-dil rahte hain ta-zist wafa ke paband
shama har rang mein jalti hai sahar hone tak
be-qarari ka ye aalam hai sar-e-sham hi jab
dekhen kya hota hai is dil ka sahar hone tak
dekhenge hashr jafaon ka hum un ki 'danish'
rah gae zinda jo aahon ke asar hone tak
Source: Book : Danish Kada (Pg. 43) Author : Danish Farahi Publication : Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh (2015) Edition : 2015
Leave a comment