tanhā kar ke mujh ko salīb-e-savāl pe chhoḌ diyā
maiñ ne bhī duniyā ko us ke haal pe chhoḌ diyā
ik chiñgārī ik jugnū ik aañsū aur ik phuul
jaate hue kyā kyā us ne rūmāl pe chhoḌ diyā
paara paara ḳhushbū chakrātī hai kamre meñ
aag jalā ke shīra us ne ubaal pe chhoḌ diyā
pahle us ne barsā.e ākāsh pe saare tiir
phir dhīre se ghoḌe ko pātāl pe chhoḌ diyā
uThne vaalā hai bāzār kahūñ kyā yūsuf se
sikkoñ kā thailā maiñ ne Tiksāl pe chhoḌ diyā
tāzīrāt pe dil mahshar tan larza chehra faq
rab ne chashm-e-do-qatra sayyāl pe chhoḌ diyā
pashmīne sā maazī thā 'tafzīl' samor sā haal
mustaqbil ko uunī havā kī taal pe chhoḌ diyā
tanha kar ke mujh ko salib-e-sawal pe chhoD diya
main ne bhi duniya ko us ke haal pe chhoD diya
ek chingari ek jugnu ek aansu aur ek phul
jate hue kya kya us ne rumal pe chhoD diya
para para KHushbu chakraati hai kamre mein
aag jala ke shira us ne ubaal pe chhoD diya
pahle us ne barsae aakash pe sare tir
phir dhire se ghoDe ko patal pe chhoD diya
uThne wala hai bazar kahun kya yusuf se
sikkon ka thaila main ne Tiksal pe chhoD diya
taziraat pe dil mahshar tan larza chehra faq
rab ne chashm-e-do-qatra sayyal pe chhoD diya
pashmine sa mazi tha 'tafzil' samor sa haal
mustaqbil ko uni hawa ki tal pe chhoD diya
Source: Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 103) Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014) Edition : 2014
Leave a comment