barq betāb hai tum ruḳh kī chamak to dekho
apnī āñkhoñ kī qasam nok-e-palak to dekho
chashm-e-maigūñ kī qasam mast nigāhoñ kī qasam
daur-e-sāġhar kā mazā sub.h talak to dekho
shāḳh-e-gul kī hai qasam merī rag-e-jāñ kī qasam
tum zarā apnī kamar kī ye lachak to dekho
mere zaḳhmoñ kī qasam shor-e-mohabbat kī qasam
apne husn-e-namak-afshāñ kā namak to dekho
dard-e-furqat kī qasam shām-e-musībat kī qasam
lagī 'tanvīr' palak se na palak to dekho
barq betab hai tum ruKH ki chamak to dekho
apni aankhon ki qasam nok-e-palak to dekho
chashm-e-maigun ki qasam mast nigahon ki qasam
daur-e-saghar ka maza subh talak to dekho
shaKH-e-gul ki hai qasam meri rag-e-jaan ki qasam
tum zara apni kamar ki ye lachak to dekho
mere zaKHmon ki qasam shor-e-mohabbat ki qasam
apne husn-e-namak-afshan ka namak to dekho
dard-e-furqat ki qasam sham-e-musibat ki qasam
lagi 'tanwir' palak se na palak to dekho
Source: Intikhab-e-Sukhan,Volume-001
Leave a comment