Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Imdad Imam Asar

  • Ghazal


mahfil mein us pe raat jo tu mehrban na tha


mahfil meñ us pe raat jo tū mehrbāñ na thā
aisā subuk thā ġhair ki kuchh bhī girāñ na thā

vasl-e-butāñ meñ ḳhauf-e-firāq-e-butāñ na thā
goyā ki apne sar pe kabhī āsmāñ na thā

pesh-e-raqīb pursish-e-dil tum ne ḳhuub kī
dushman thā parda-dār na thā rāz-dāñ na thā

ibrat dilā chukī thī hamārī sitam-kashī
mutlaq shab-e-visāl adū shādmāñ na thā

bigḌe hue raqīb se vo aa.e mere ghar
is husn-e-ittifāq kā koī gumāñ na thā

sargarm-e-nāla kyuuñ rahī bulbul bahār meñ
kyā ham na the asiir ki zauq-e-fuġhāñ na thā

sarshār-e-be-ḳhudī the 'asar' bazm-e-yār meñ
kyā jāneñ ham raqīb kahāñ thā kahāñ na thā

mahfil mein us pe raat jo tu mehrban na tha
aisa subuk tha ghair ki kuchh bhi giran na tha

wasl-e-butan mein KHauf-e-firaq-e-butan na tha
goya ki apne sar pe kabhi aasman na tha

pesh-e-raqib pursish-e-dil tum ne KHub ki
dushman tha parda-dar na tha raaz-dan na tha

ibrat dila chuki thi hamari sitam-kashi
mutlaq shab-e-visal adu shadman na tha

bigDe hue raqib se wo aae mere ghar
is husn-e-ittifaq ka koi guman na tha

sargarm-e-nala kyun rahi bulbul bahaar mein
kya hum na the asir ki zauq-e-fughan na tha

sarshaar-e-be-KHudi the 'asar' bazm-e-yar mein
kya jaanen hum raqib kahan tha kahan na tha


Leave a comment

+