Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madan Mohan Danish

  • Ghazal


zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo


zidoñ ko apnī tarāsho aur un ko ḳhvāb karo
phir us ke ba.ad hī manzil kā intiḳhāb karo

mohabbatoñ meñ na.e qarz chaḌhte rahte haiñ
magar ye kis ne kahā hai kabhī hisāb karo

tumheñ ye duniyā kabhī phuul to nahīñ degī
mile haiñ kāñTe to kāñToñ ko hī gulāb karo

siyāh raato chamaktī nahīñ hai yuuñ taqdīr
uThāo apne charāġhoñ ko māhtāb karo

ka.ī sadā.eñ Thikāna talāsh kartī huī
fazā meñ guuñj rahī haiñ unheñ kitāb karo

kisī ke rañg meñ Dhalnā hī hai agar 'dānish'
to apne aap ko thoḌā bahut ḳharāb karo

zidon ko apni tarasho aur un ko KHwab karo
phir us ke baad hi manzil ka intiKHab karo

mohabbaton mein nae qarz chaDhte rahte hain
magar ye kis ne kaha hai kabhi hisab karo

tumhein ye duniya kabhi phul to nahin degi
mile hain kanTe to kanTon ko hi gulab karo

siyah raato chamakti nahin hai yun taqdir
uThao apne charaghon ko mahtab karo

kai sadaen Thikana talash karti hui
faza mein gunj rahi hain unhen kitab karo

kisi ke rang mein Dhalna hi hai agar 'danish'
to apne aap ko thoDa bahut KHarab karo


Leave a comment

+