Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basheer Ahmad Shad

  • Ghazal


in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin


in ilm-o-āgahī kī kitāboñ meñ kuchh nahīñ
kyā DhūñDhtā hai yaar nisāboñ meñ kuchh nahīñ

ḳhushbū ko DhūñDne kī tamannā hai kis liye
kuchh aur dekh sūkhe gulāboñ meñ kuchh nahīñ

jab apne paas pyaar kī sūrat nahīñ rahī
chhoḌo ḳhayāl-e-dost ki ḳhvāboñ meñ kuchh nahīñ

vo shahr miT chukā jo basāyā thā pyaar kā
kyā DhūñDte ho yaar ḳharāboñ meñ kuchh nahīñ

ho aañkh meñ surūr to kyā mai-kade se kaam
sāġhar meñ kuchh nahīñ hai sharāboñ meñ kuchh nahīñ

in ilm-o-agahi ki kitabon mein kuchh nahin
kya DhunDhta hai yar nisabon mein kuchh nahin

KHushbu ko DhunDne ki tamanna hai kis liye
kuchh aur dekh sukhe gulabon mein kuchh nahin

jab apne pas pyar ki surat nahin rahi
chhoDo KHayal-e-dost ki KHwabon mein kuchh nahin

wo shahr miT chuka jo basaya tha pyar ka
kya DhunDte ho yar KHarabon mein kuchh nahin

ho aankh mein surur to kya mai-kade se kaam
saghar mein kuchh nahin hai sharabon mein kuchh nahin


Leave a comment

+