Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ikram Janjua

  • Ghazal


kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand


kyā jaane kis kī dhun meñ rahā dil-figār chāñd
sañgam pe roz-o-shab ke Dhalā baar baar chāñd

aa.ī na raat bhar koī panghaT pe sāñvlī
paanī meñ chhup ke baiThā rahā be-qarār chāñd

kirnoñ kī Doriyoñ se ulajhte ho kis liye
kuchh bhī na de sakegā tujhe dāġh-dār chāñd

baazū ke dā.ere vo mahak chūḌiyāñ khanak
do-sā.e zard-chāñdnī dhīmī pukār chāñd

sūraj thā vo to shaam se pahle hī Dhal gayā
niile ufuq pe aur bhī haiñ be-shumār chāñd

har roz mere ghar meñ utartā hai kis liye
mujh ko bhī apne shahr meñ ik din utaar chāñd

bastī ke log jāniye kyā sochte rahe
bādal kī chhat pe soyā rahā sogvār chāñd

ab chāñdnī ke naam se nafrat sī ho ga.ī
'ikrām' zindagī ko lage aise chaar chāñd

kya jaane kis ki dhun mein raha dil-figar chand
sangam pe roz-o-shab ke Dhala bar bar chand

aai na raat bhar koi panghaT pe sanwli
pani mein chhup ke baiTha raha be-qarar chand

kirnon ki Doriyon se ulajhte ho kis liye
kuchh bhi na de sakega tujhe dagh-dar chand

bazu ke daere wo mahak chuDiyan khanak
do-sae zard-chandni dhimi pukar chand

suraj tha wo to sham se pahle hi Dhal gaya
nile ufuq pe aur bhi hain be-shumar chand

har roz mere ghar mein utarta hai kis liye
mujh ko bhi apne shahr mein ek din utar chand

basti ke log jaaniye kya sochte rahe
baadal ki chhat pe soya raha sogwar chand

ab chandni ke nam se nafrat si ho gai
'ikram' zindagi ko lage aise chaar chand


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 530) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967

Leave a comment

+