Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Obaidullah Aleem

  • Ghazal


ajib thi wo ajab tarah chahta tha main


ajiib thī vo ajab tarah chāhtā thā maiñ
vo baat kartī thī aur ḳhvāb dekhtā thā maiñ

visāl kā ho ki us ke firāq kā mausam
vo lazzateñ thiiñ ki andar se TūTtā thā maiñ

chaḌhā huā thā vo nashsha ki kam na hotā thā
hazār baar ubhartā thā Dūbtā thā maiñ

badan kā khel thiiñ us kī mohabbateñ lekin
jo bhed jism ke the jaañ se kholtā thā maiñ

phir is tarah kabhī soyā na is tarah jaagā
ki ruuh niiñd meñ thī aur jāgtā thā maiñ

kahāñ shikast huī aur kahāñ sila paayā
kisī kā ishq kisī se nibāhtā thā maiñ

maiñ ahl-e-zar ke muqābil meñ thā faqat shā.er
magar maiñ jiit gayā lafz hārtā thā maiñ

ajib thi wo ajab tarah chahta tha main
wo baat karti thi aur KHwab dekhta tha main

visal ka ho ki us ke firaq ka mausam
wo lazzaten thin ki andar se TuTta tha main

chaDha hua tha wo nashsha ki kam na hota tha
hazar bar ubharta tha Dubta tha main

badan ka khel thin us ki mohabbaten lekin
jo bhed jism ke the jaan se kholta tha main

phir is tarah kabhi soya na is tarah jaga
ki ruh nind mein thi aur jagta tha main

kahan shikast hui aur kahan sila paya
kisi ka ishq kisi se nibahta tha main

main ahl-e-zar ke muqabil mein tha faqat shaer
magar main jit gaya lafz haarta tha main


Source: Book : Veeran sarai ka diya (Pg. 25)

Leave a comment

+