koī taqrīb ho lāchāriyāñ haiñ
baḌe logoñ se rishte-dāriyāñ haiñ
hamārī kaj-kulāhī par na jaao
abhī ham meñ vahī ḳhuddāriyāñ haiñ
muravvat āo-bhagTī vaz.a-dārī
ye pichhle ahd kī bīmāriyāñ haiñ
ḳhushā jin ko mayassar aa.eñ nīndeñ
yahāñ to umr bhar bedāriyāñ haiñ
nahīñ hai aadmī ke bas meñ kuchh bhī
to phir kaahe kī ḳhud-muḳhtāriyāñ haiñ
vazīr-o-mīr hoñ yā shaiḳh-o-vā.iz
sabhī logoñ meñ zāhir-dāriyāñ haiñ
nahīñ hai monis-e-jāñ 'sāz' koī
dikhāve kī faqat dil-dāriyāñ haiñ
koi taqrib ho lachaariyan hain
baDe logon se rishte-dariyan hain
hamari kaj-kulahi par na jao
abhi hum mein wahi KHuddariyan hain
murawwat aao-bhagTi waza-dari
ye pichhle ahd ki bimariyan hain
KHusha jin ko mayassar aaen ninden
yahan to umr bhar bedariyan hain
nahin hai aadmi ke bas mein kuchh bhi
to phir kahe ki KHud-muKHtariyan hain
wazir-o-mir hon ya shaiKH-o-waiz
sabhi logon mein zahir-dariyan hain
nahin hai monis-e-jaan 'saz' koi
dikhawe ki faqat dil-dariyan hain
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment