Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Varun Gagneja Wahid

  • Ghazal


thake jismon thaki ruhon ke sab mani badalte hain


thake jismoñ thakī rūhoñ ke sab ma.anī badalte haiñ
visāl-e-hijr ke mausam meñ uryānī badalte haiñ

gharoñ meñ baiThe baiThe zañg lag jaatā hai jismoñ ko
chalo tālāb kā Thahrā huā paanī badalte haiñ

badaltī dekhī hai duniyā faqat āñkhoñ ne hī ab tak
chalo ik kaam karte haiñ ki hairānī badalte haiñ

baḌī mushkil se do misroñ meñ koī rabt bantā hai
kabhī uulā badalte haiñ kabhī saanī badalte haiñ

yaqīnan yuuñ nahīñ hotā magar ik bad-gumānī hai
koī ham se kahe aao pareshānī badalte haiñ

tumhārā zikr karte haiñ dar-o-dīvār se aksar
baḌī mushkil se ham is ghar kī vīrānī badalte haiñ

isī mausam meñ to lagtā hai pahra merī āñkhoñ par
yahī mausam to dariyāoñ kī tuġhyānī badalte haiñ

miyāñ 'vāhid' kisī din ballī-mārāñ ho ke aate haiñ
miyāñ naushā se mil kar ye pashemānī badalte haiñ

thake jismon thaki ruhon ke sab mani badalte hain
visal-e-hijr ke mausam mein uryani badalte hain

gharon mein baiThe baiThe zang lag jata hai jismon ko
chalo talab ka Thahra hua pani badalte hain

badalti dekhi hai duniya faqat aankhon ne hi ab tak
chalo ek kaam karte hain ki hairani badalte hain

baDi mushkil se do misron mein koi rabt banta hai
kabhi ula badalte hain kabhi sani badalte hain

yaqinan yun nahin hota magar ek bad-gumani hai
koi hum se kahe aao pareshani badalte hain

tumhaara zikr karte hain dar-o-diwar se aksar
baDi mushkil se hum is ghar ki virani badalte hain

isi mausam mein to lagta hai pahra meri aankhon par
yahi mausam to dariyaon ki tughyani badalte hain

miyan 'wahid' kisi din balli-maran ho ke aate hain
miyan nausha se mil kar ye pashemani badalte hain


Leave a comment

+