Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Madhu Gupta

  • Ghazal


apni surat pe bhi nazar rakhiye


apnī sūrat pe bhī nazar rakhiye
aa.ina haath meñ agar rakhiye

aap par jaañ nisār kar deñ sab
baat bas aisī pur-asar rakhiye

ik nā ik din ye kaam āye.gā
haath meñ apne kuchh hunar rakhiye

pyaar koī hañsī yā khel nahīñ
aap patthar sā phir jigar rakhiye

chhāñv un kī baḌī hī shītal hai
ghar meñ būḌhā bhī ik shajar rakhiye

apni surat pe bhi nazar rakhiye
aaina hath mein agar rakhiye

aap par jaan nisar kar den sab
baat bas aisi pur-asar rakhiye

ek na ek din ye kaam aayega
hath mein apne kuchh hunar rakhiye

pyar koi hansi ya khel nahin
aap patthar sa phir jigar rakhiye

chhanw un ki baDi hi shital hai
ghar mein buDha bhi ek shajar rakhiye


Leave a comment

+