ishq meñ sabr-o-razā darkār hai
fikr-e-asbāb-e-vafā darkār hai
chaak karne jāma-e-sabr-o-qarār
dilbar-e-rañgīñ qabā darkār hai
har sanam tasḳhīr-e-dil kyūñkar sake
dilrubā.ī kuuñ adā darkār hai
zulf kuuñ vā kar ki shāh-e-ishq kuuñ
sāya-e-bāl-e-humā darkār hai
rakh qadam mujh dīda-e-ḳhūñ-bār par
gar tujhe rañg-e-hinā darkār hai
dekh us kī chashm-e-shahlā kuuñ agar
nargis-e-bāġh-e-hayā darkār hai
azm us ke vasl kā hai ai 'valī'
lekin imdād-e-ḳhudā darkār hai
ishq mein sabr-o-raza darkar hai
fikr-e-asbab-e-wafa darkar hai
chaak karne jama-e-sabr-o-qarar
dilbar-e-rangin qaba darkar hai
har sanam tasKHir-e-dil kyunkar sake
dilrubai kun ada darkar hai
zulf kun wa kar ki shah-e-ishq kun
saya-e-baal-e-huma darkar hai
rakh qadam mujh dida-e-KHun-bar par
gar tujhe rang-e-hina darkar hai
dekh us ki chashm-e-shahla kun agar
nargis-e-bagh-e-haya darkar hai
azm us ke wasl ka hai ai 'wali'
lekin imdad-e-KHuda darkar hai
Leave a comment